भोजपुरी फिल्म अभिनेता विनय आनंद के लिए चकाचक है 2012
++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
नया साल २०१२ सभी के लिए कुछ ना कुछ नया तोहफा लेकर आया है. लेकिन भोजपुरी फिल्म के अभिनेता विनय आनंद के लिए यह साल विशेष रूप से चकाचक वाला साल रहेगा. इस साल विनय की लगभग दर्जन भर फिल्में रुपहले पर्दों पर सजने के लिए बेताब दिख रही हैं. उन फिल्मों में 'दामाद चाहीं फ़ोकट में', 'दबंग दामाद' नाम की ये दो फिल्म दामाद प्रमुख अभिनय से परिपूर्ण होगी. वहीँ कुछ और फिल्में, 'हमरे नामे जिला हिलेला', 'विनय भईया कईलस कमाल', 'गुलाब थियेटर' जैसी फिल्में भोजपुरी परिवेश को लेकर दर्शकों के सामने हाजिर होंगी. रोमांटिक फिल्मों की बात करें तो 'कजरा मोहब्बत्वाला', 'चुनरी संभाल गोरी', 'पागल प्रेमी', 'तुलसी बिन सुना अंगनवा हमार' जैसी फिल्में भरपूर प्यार-मुहब्बत लेकर भोजपुरी फिल्मों के प्रशंसकों के बीच आएगी. जबर्दश्त एक्शन वाली फिल्मों में 'एलन-ए-जंग', 'काली', 'दंगल' जैसी फिल्मों में विनय के एक्शन देखने को मिलेंगे.
यहाँ ज्ञातव्य हो की इन दर्जन भर फिल्मों में से कुछ फिल्में भोजपुरी एवं छत्तीसगढ़ी भाषा में भी बनी हैं, जिनमें 'हमरे नाम जिला हिलेला' और 'एलन-ए-जंग' प्रमुख हैं. इन दोनों फिल्मों का निर्देशन किया है निर्देशक रवि सिन्हा ने.
भोजपुरी फिल्म के अभिनेता विनय आनंद हाल ही में 'पागल प्रेमी' की शूटिंग को ख़त्म कर छत्तीसगढ़ से लौट आये हैं और अब 2012 में रुपहले परदे पर जगमगाने के लिए बेताब इन फिल्मों के सफलता के लिए बेताब हैं.
--आर के पाण्डेय 'राज'
लखनऊ
Tags:
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 11:31am Gaurav ji, apne apney mast-diwaliya dimaag kaa behtar prastuti kiya hai apne comment mein. "GANESH BHAGWAN BIHARIO KO SABSE LAST ME BUDDHI DETE HONGE" .......ye likhne se pahle ye soch liya hota tumne ki jis desh mein baithey ho, oos bharat desh kaa pahla Rashtrapati bhi Bihari hee they aur wo bhi bhojpuri kshetr ke. Bihar ke chamaparan se hee mahatma gandhi ne apna swatantrata andolan kaa pahla aandolan kiya tha, ye bhi bhojpuri kshetra hee hai. Babu kunwar singh ne 80 saal ke umr mein angrezon ki haalat kharaab kar di thi, wo bhi bihari they aur bhojpuri kshetr ke hee they.
Jara dimaag lagaye hote aur kuchh padhe-likhey hotey to bihar aur bihar ke gauravshali itihaas kaa bhi gyaan hota tumhe...........tumharey comment se saaf pata chal raha hai ki tum mansik rup se diwaliya ho chukey ho aur kisi mental hospital mein jaaney ki jarurat hai tumhe.
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 6:39pm
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 6:47pm gaurav ji, main bhi bhojpuri film aur Indian media se juda hua hoon aur kaafi karib se logon ko janta bhi hoon. Kuchhek filmon se pure state ya sanskriti ke baarey mein soch lena ye ek galat najariya hai. Main apke jankaari ke liye ye bata doon ki bhojpuri filmon ki safalta ko dekhkar jaane-maane Big-B ne bhi bhojpuri films mein kaam kiya hai. 'ganga' aur dusri film 'Gangotri' mein unhoney abhinay kiya. Ek aur jankari apko dena chahunga ki "Gangadevi" film ki shooting 6th january se shuru ho chuki hai aur ees film mein Amitabh Bachchan ji ke saath saath jaya bachchan aur gulshan grover bhi kaam kar rahey hain. Bhojpuri filmon ki safalta hee hai ki bollywood ke famous kalakaar kaam karney ko ichchhuk hain. Haal hee mein shooting hone waali hai ek film 'prem vidrohi' ki, jismein anoop jalota gaayak hain, bobby darling ne request karke ees film mein kaam kiya hai.
Rahi baat cenematography aur story ki to aap dekhtey jayiye, bahut jaldi hee bhojiwood aisi films lekar aa raha hai jismein bollywood jaisi technology milegi aur acting bhi.
rahi baat bhojpuri films ki stories aur ashlilta ki to aap dada kondke ki films ko dekhiye, unke songs ko suniye to aap ko dwiarthi (double meaning) dialogue bhare milenge.
Ashlilta ki baat karein to hindi film se bhi jyada ashlilta south indian films mein hai. wahan adhikhaansh films mein jabardasti rape scene aur suhaagrat ke scene daaley jaate hain.
film chaahe kisi bhi region ki ho, ashlilta hai aur hindi jaisi films mein bhi hai. sawaal ye hai ki jo darshak aur shrota dekhega/sunega wahi sunaaya/dikhaaya jayega. kami hamlogon mein hai ki hamlog aisey films ko dekhtey hain aur aisey gaanon ko suntey hain.
bahut jald hee apko bhojpuri filmo kaa ek naya chehra dekhne ko milega. lagatar films shoot ho rahi hain aur kuchh cinema halls mein eesi saal dekhne ko bhi milengi.
aisey hataash hone se kaam nahin chalta hai gaurav bhayi. sudhaar laana parta hai aur ees vishay mein hamlogon ne kaafi kaam bhi kiya hai aur kar bhi rahey hain. film producers, script writers, directors etc se lagataar charcha hoti hai aur baat hoti hai bhojpuri films ko naye tarike se prastut karne ke baarey mein. main to kahunga ki kaafi had tak sudhaar dikhega aaney wali films mein.
main fir se wahi baat kahunga ki apke andar jankaari ki kami hai aur 'neem hakim khatra-e-jaan' ki sthiti bhi aapke saath hai. apko ye pata nahin hai ki bahut pahle ek bhojpuri film ko national award mil chuka hai, film kaa naam tha 'kab hoyi gawanwa hamaar', ye social film thi aur iske director they Anand D. Ghatraj, jo famous singer udit narayan ke brother-in-law hain. Ees film ko national award diya tha rashtrpati mahodaya pratibha paatil ji ne.
jab jankaari behtar ho jaaye tab tark karne mein bhi maja aata hai. aapki jankari kaafi kam hai.
Gaurav Gupta said:
Dr. Rajendra Prasad , J.P.Narayan,Mahatma Gandhi aur Veer kuwar singh jaisi mahan hastiyo Ko samman apne kabiliyat aur tallent k vajah se milta hai unka Bhojpuri cinema se koi lena dena nahi hai Bhojpuri film aur gana bananewalo me wo madda nahi hai ki vo Bhojpuri cinema ko Rastriya puraskar aur oscar k nomination tak pahuch de aur Mahatma Gandhi to mere nazar me Oscar se bhi bada nam hain.
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 6:59pm Gaurav ji, aapke sulabh sandarbh ke liye aur apke bhram ko mitaaney ke liye main certificate ko prastut kar raha hoon jo aaj se 5yrs pahle 2006 mein hee mili thi NATIONAL FILM AWARD ke roop mein bhojpuri film KAB HOYI GAWANWA HAMAAR film ko
RAJ said:
main fir se wahi baat kahunga ki apke andar jankaari ki kami hai aur 'neem hakim khatra-e-jaan' ki sthiti bhi aapke saath hai. apko ye pata nahin hai ki bahut pahle ek bhojpuri film ko national award mil chuka hai, film kaa naam tha 'kab hoyi gawanwa hamaar', ye social film thi aur iske director they Anand D. Ghatraj, jo famous singer udit narayan ke brother-in-law hain. Ees film ko national award diya tha rashtrpati mahodaya pratibha paatil ji ne.
jab jankaari behtar ho jaaye tab tark karne mein bhi maja aata hai. aapki jankari kaafi kam hai.
Gaurav Gupta said:Dr. Rajendra Prasad , J.P.Narayan,Mahatma Gandhi aur Veer kuwar singh jaisi mahan hastiyo Ko samman apne kabiliyat aur tallent k vajah se milta hai unka Bhojpuri cinema se koi lena dena nahi hai Bhojpuri film aur gana bananewalo me wo madda nahi hai ki vo Bhojpuri cinema ko Rastriya puraskar aur oscar k nomination tak pahuch de aur Mahatma Gandhi to mere nazar me Oscar se bhi bada nam hain.
gaurav gupta ji, mainey apke bhram aur bhranti ko door karne kaa prayaas kiya hai. yahaan tak ki NATIONAL FILM AWARD mein bhojpuri film ke award certificate ko bhi apke santushti ke liye evam jankari ko prabuddh karne ke liye prastut kar diya. bhojpuri hee nahin balki aur bhi kayi regional language ke development aur rights ke liye main kaam kar raha hoon. lekin aap jaisey log mil hee jaatey hain jo bina jaankaari ke kuchh bhi bolna pasand kartey hain aur apne aapko jyada buddhiman samajhne lagte hain. unko bas kamiyaan dikhaayi deti hain, kuchh achchhayi nahi dikhaayi deti. zindagi kamiyaan dhundhne mein hee nikal jaati hai aur skaaratmak vichaar kabhi panap hee nahin paatey.
kayi regional language ke saahitykaar, sansthaapak, lok-kalakar, patrkaar, filmkaar se lagataar charcha ho rahi hai regional language ke saahitya, sanskar, sanskriti aur itihaas ko logon ke beech vyapak rup se prachaarit aur prasaarit karne ke liye.
apko jankar aashcharya hoga ki private companey mein ek mahatwpurn designation par hone ke baad aur apne busy schedule se samay nikaalkar main regional languages aur bihar ke liye kaam karta hoon. kyunki bihar meri janmbhumi hai aur ye mera kartavya hai. iskey liye kahin se government kaa fund nahin milta mujhe aur naa hee meri koyi sanstha hai. bas akela hoon aur bina kisi sanstha se judey huye kaam karta hoon. samast kharch ko swyam wahan karta hoon apni salary mein se. tab jaakar ye jankariyan milti hain aur samasyaayein bhi. saagar ke kinaare khade hokar lahrein ginna aur badi badi baatein karna, kamiyaan nikaalna aasaan hai lekin dubki lagaakar kisi cheej ko khojna bahut hee mushkil kaam hai. jara aap bhi gote lagaayiye, positive attitude apnayiye fir dekhiye wo anmol moti milenge jisko dekhkar apko ye santushti hogi ki apne bihar ke liye kuchh to kiya.
aisey baatein karna sabhi ko aata hai bhayi ji. jara aagey badhiye, mehnat kijiye. tabhi to maja hai, bihar ke liye kuchh kar gujarney kaa. kuchh log stage par kaam kartey hain aur mere jaisey log gumnaam hokar kaam karna pasand kartey hain.
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 7:15pm
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 7:33pm
Permalink Reply by Gaurav Gupta on January 8, 2012 at 8:04pm Started by Varun in Bihar. Last reply by kamlesh mishra 16 hours ago. 11 Replies 1 Like
Started by Shalu Sharma in Just anything. Last reply by Deepak Pathak 19 hours ago. 32 Replies 6 Likes
Started by Avinash King Avinash in Bihar. Last reply by Munna Lal 19 hours ago. 2 Replies 0 Likes

Started by Dr. Ajay Kumar in Uncategorized. Last reply by Munna Lal 19 hours ago. 429 Replies 3 Likes
Started by rizwan khan in Bihar. Last reply by Munna Lal 20 hours ago. 14 Replies 0 Likes
Posted by Rajesh K shreevastava on May 27, 2012 at 12:38pm 0 Comments 0 Likes
Posted by md mustafa kamal on May 27, 2012 at 9:13am 0 Comments 0 Likes
Posted by sanjay kumar pandey on May 26, 2012 at 3:30pm 7 Comments 0 Likes
Posted by Sunil Kumar on May 26, 2012 at 12:29pm 0 Comments 0 Likes
Posted by Sunil Kumar on May 26, 2012 at 12:22pm 0 Comments 0 Likes
© 2012
